Sunday, 2 May 2021

 Aane wale dino ki takreeb...

Haatho mei basi wo lakeer,

Jisne kal ka jhuth dikhaya...

Par wo kal kabhi nhi aaya.

Waqt aisa chaha na tha,

Yu aise bebas hona na tha...

Saanso pr saanse bhari hai,

Konsi kiski dhadkan aakhri hai.

Wqt kya likhwau tumhe,

Umr bhi yaad nhi mujhe...

Kitni honi thi, aur kitni baaki,

Ye sab ab adhuri kahani hai....

Alvida kehte rishte roye bohot,

Pure na kr paaye, wo waadei bhi bohot.

Bebas thi saanse meri

Mudna chaha jb, bas raakh me bachi...


Saturday, 1 May 2021

 Wo akhri paigam,

Jo tum tk pahucha nhi.

Wo akhri paigam,

Jiska koi jawab aaya nhi.

Wo akhri paigam,

Jo humne likha nhi,

Wo akhri paigam.

Jo akhri tha hi nhi.

Jo soch k likha tha ab aur nhi,

Jo likh diya soch kr ek aur hi sahi.

Tuesday, 5 March 2019

Darkhwast thi mere sapno ki
Unki aankho ka kajal ban jau
Labon pe Rakha le wo mujhe
Toh unki hasi ban jau
Pukar le mere naam Ko
Toh unki awaz se saaz ban jau
Pehen le kabhi mujhe
Toh gehna me ban jau
Khushbu mei unki ghul jao
For ittr mei kehlau
Ho jaye mere pyar ka ehsaas unhe
Toh ghazal mei bn jau......

The more I try to live the past
It burns on a pyre inside my heart
The flames take up what I HAVE
Gradually I loose the moment from my hand
It burns with sorrow
To see me hollow
For the sake of yester
I have lost yet another Easter
As it's about hope
To get back what is gone
घर के कमरों से करती हूं बाते तेरी
किससे सुनकर पुराने हस पड़ती हूं तेरे
तेरी तस्वीरो में खुद को देखती हूं
सच कहते है सब मुझसी दिखती हैं तू
रंगो से भरा तेरा आसमान लगता है
मेरी दुआओं सा लगता है
हैरान हूं जान कर
कैसे यादों को आंखों में छिपा लेती है
जो रो कर विदा करी थी कल
आज मुझको दूर रह कर हसा देती है
विदाई रस्म ही ऐसी है कि
तेरे आने का इंत़ार नहीं कर सकती

पर ताले बदले नहीं है मैने
सोचकर कि तेरे पास घर की चाबी है

Wednesday, 14 May 2014

The sun sets to tell me...

its over and gone

far beyond

i never open my eyes

i m afraid to realize

that darkness comes for real

n its not a material

it feels so different

i m so distant

from luv n warmth

from u in my arms

i feel u with a pain

n it never ends

i wnt to walk beside u

which always seemed so new

nw i m faded

everythn is shaded

i failed to piece together

the part of me where u once wntd to stay forever

Thursday, 27 February 2014

Let me die,
let me burn...

let this pain,
come over again

I am used to it,
it helps me breathe

It tells me that,
Nothing is bad

It reminds me,
the worst is over.

and I can smile,
with all life has to offer

I can cry again,
I know I can.

But will it bring,
what has been taken away?

Monday, 8 April 2013

Pathar hi hai jo mitti bana,
thokar kha kar hai bikhra
isliye wo rota nahi,
aisa nahi ki dard usko hota nahi.

Janta hai mitti jab wo ban jayega
dharti pe uski wajah se kuch lehrayega
isliye wo rota nahi,
aisa nahi ki dard usko hota nahi.

gira hota hai wo unchayio se
kuch nayi si tanhayio mei
pucha agar hota kabhi,
par aisa bhi toh hota nhi

bejaan hai, bezuban hai
aisi hi uski pehchan hai
fir kyu jab wo matti hai
zindagi usme panapti hai

kyu kabhi wo kisi ke liye bhagwan hai
tab bhi toh wo  bezuban hai
aisa nahi ki dard usko hota nahi.
bas wo kabhi rota nhi

Wednesday, 13 February 2013


ishq yu hi nhi badnaam h

Pyaar aasuo ka pegaam h

Bekarari aisi deta h

Apne mei uljha deta h

Na ehsaas h judai ka

Na pyaar ki prchai h

Udaasi yu hi bewajah dil pe chhai h

Bekhudi h ye

Zindagi ab ek ruswai h

Teri bina hr pal

Bas tanhai h, tanhai h

Sunday, 30 September 2012

love and lost, yet together


Ek wqt tha,
aasman zameen ke sang tha
pyar ke rang mei,
range the wo dono

anjane se,
dharti ne ki koi galti
chala gya aasman dur
dikhaya usne apna gurur
koshish ki dharti ne
prvat banke uske paas pahuch jaye
pr fasla narazgi se tha zyada
khafa tha ambar kuch iss tarah
ki dukh usey bhi tha
pr wapas aana ab mumkin na tha
rota tha kabhi kabhi
aur saath mei aakrosh dikhata
bheeg jati thi dharti
aur mayus ho jati
fir jb naseeb ko apna liya
tb jeevan pnpa, hryali ayi
pedo ki unchayi ne fir faasla km krna chaha
pr aasman toh dur hi tha

ab dhrti yu hi khelti h
khush ho kr zindagi deti h
dukh mei khud ko hi khatam kr leti hai
sochti h kabhi toh smjhega aasman
uske pyaar mei wo bnti aur bigadti hai

Wednesday, 26 September 2012

When I look behind


Kuch aisa piche chuut gaya
ya wo bs h ruth gaya
milega mujhe kabhi kya wo dubara?
ya ab h bs aise hi rehna
chahu toh kadam bada bhi lu
chahu toh khud ko behla bhi lu
dhundla dhundla sa kuch yaad h
pr hr lamha uske na hone ka ehsaas h
kya wo jagah abhi bhi h khali
na hone se uske hi h ye udaasi
jaanta hai mann ki wo na ayega ab
aankhen thak gayi intezar kr
kyu hai koi aata
jhuta sa spna dikhata
apna h ban jata
fir na jaane kahan kho jata

Wednesday, 29 August 2012


Iman fir baeman sa
hr aahat pe bekarar sa
awaz ye uski nhi
anjam mei bhi wo nhi
chot fir dard mangti h
tumhe fir se chahti h
yaad toh h abhi bhi
wo bita tha wqt jo kbhi
kese hathon ki lakeere
utri thi dil ki tasveer mei
kese mere sang
farishto ki ankhen bhi thi num
pr karen toh kya
ye mann kuch h hi aisa
jo mujhse h kehta
is zindagi ka ehsaas tujhse hi tha
chahe fir saath kum tha

Monday, 2 July 2012

Beyond words



Kuch ehsaas...
dhundli si ek tasveer bnate h.
hoke naraz wo
dil k kone mei baith jate h.
https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEimRrzbhiTeKWEj7NzY21gYKFi9c5LNgoo7ku-JSD778Kl2k07CQIcUuvDEwq7k8np06hsOltGoTnwsRw1JbuATU5k0ezh7BuYjCXrIx8134f_z3cUMH0VhnUPHvspP8QFoRCRS_bo8LJA/s1600/download.jpgsmjhna jo chahu unko
toh smjh bhi na pau me
alag si justuju k sang
tham si jau me
rut ye guzar toh jati h
pr mann ki awaz
syahi sun na pati h
kore se kagaz ka saath na pati h
khmoshi k sang hi kahin beh jati h
kya naam du us ehsaas ko
smjhu kaise me unko
jo h toh mere
pr na jane kyu h adhure
dil ki dehleez ko paar kr
hawao mei h jo beh chale

Wednesday, 27 June 2012

Life Cycles


Emerging from dust and snow
i ride all along. . .

no matter if the sun shines bright
A must watch documentary: Life Cycles.
inspired by the same
or the rain is fallin from sky
i ride all along. . .

the path may b easy or hard
i will never stop
i ride all along. . .

circles are searchin fr the edge
n till its not find
i will ride all along. . .

for every stone tht is shaking
yes, my heart is beating

i flow with the air
takin all with me that nature has to share

so i ride all along. . .

Miss you


Sanjote hue yaadein
na jane kitne pal bikhar gye

My friends :) miss you all
moti the hm pirote
na jane kese wo ashk bn gaye

juda na hone ko tayar
ab na jane kaise ek duje bin reh rahe

lamhe jinme sang the mere yaar
na jane kahan kho gaye

wo bina mtlb ki muskurahat
na jane kyu piche chod aye

jinpe hste the yaad aati h ab wo aadat
na jane kaise wo din beet gye

Monday, 21 May 2012

Hope


Nayi tarango ki talash mei

ek aise hi khayal mei


zindagi ka ehsaas ho gya


jine se aur pyaar ho gya


khud se milne ko bekarar thi me


khushiyo k intezar mei thi me


socha na tha ye krwa aisa mod lega


lehro k sath wqt aise bahega


kuch spne jo dekhe


wo sch na ho paye


aur kbhi aisa sama aya


jisne sch bnke spna bhulaya


hr din naya h


hr pal ab jina h

Friday, 4 May 2012

Relive


Aakhri Saans se pehle
iss darr pe fir aana chahunga

yaha k bikhre pani mei
apna aks dekhna chahunga

deewaro k daman mei, kuch awaze h chipi
unhe sunne ki koshish krna chahunga

khushbu ye anjan si, h kuch mithi mithi si
apne andr bharna chahunga

dheemi dheemi si, pr khilkhilati yaha jo hawa h
fir se mehsus krna chahunga

wqt h kuch kum abhi,  dubara is waqt ko
fir se jina chahunga

Blissful

Jeene ka nasha
chaya h mujh pr

pyar h muje
junun se apne

haarne ka drr nhi
khush rehne ki chah h

is dagar pr chalte rehna
hi hai sapna mera

manzil mile na mile
ye safar mera apna h

apne hi kdmo ki dhun pr
jhumta ye mann mera

labo se na jati ab khushi
surur ab ye utarta nhi

ab andhre ko
roshni h mil gyi

Tuesday, 1 May 2012

Last words

Kehna mt kbhi
tumne kho diya mujhe
jana meri mrzi mei na tha.
Kash aur pal rehte hum sang,
pr ye zindagi
hai hi dokhebaaz si.
Akhri yaad tumhari thi
fir ankhein bnd kr me chal di.
Sanso ki dor ka kya h?
Tumse jodta mujhe mera pyaar hai,
jo aj bhi tumhare saath hai.
Hu thodi dukhi mei bhi
pr humari yaadein rone nhi deti.
Tum bhi ab muskura do,
aasu tumhare todte h mujhe,
ye unchahi saza na do.
Ab toh muskura do. . .

Saturday, 28 April 2012

Boondein


Inn boondein ki ajeeb hi dastan hai
Barasti hai neele aasman se
Thamne is dharti ka daaman
Khushi se bhari
Zindagi jeeti hui
Bikhar jati h zameen par
Jaise hi tutti h
Aur komal ho jati hai
Khud ko bikherti hui
Khushi khushi khatam ho jati h.
Fir bhi kuch toh h,
Jo ye gir ke bhi
Tumhari, meri aur is aasman ki
Chhavi dikhati h.