Sunday 30 September 2012

love and lost, yet together


Ek wqt tha,
aasman zameen ke sang tha
pyar ke rang mei,
range the wo dono

anjane se,
dharti ne ki koi galti
chala gya aasman dur
dikhaya usne apna gurur
koshish ki dharti ne
prvat banke uske paas pahuch jaye
pr fasla narazgi se tha zyada
khafa tha ambar kuch iss tarah
ki dukh usey bhi tha
pr wapas aana ab mumkin na tha
rota tha kabhi kabhi
aur saath mei aakrosh dikhata
bheeg jati thi dharti
aur mayus ho jati
fir jb naseeb ko apna liya
tb jeevan pnpa, hryali ayi
pedo ki unchayi ne fir faasla km krna chaha
pr aasman toh dur hi tha

ab dhrti yu hi khelti h
khush ho kr zindagi deti h
dukh mei khud ko hi khatam kr leti hai
sochti h kabhi toh smjhega aasman
uske pyaar mei wo bnti aur bigadti hai

4 comments:

  1. Its so awesome... :) Beautiful... :)Sach me dharti aur aasman ka love...

    ReplyDelete
  2. thanx a ton Raman... it means a lot to me :)

    ReplyDelete
  3. Simple and Awesome.. Expression of something which is lying deep in the heart!! Isn't it.. i can understand a lot Punnu.. really.. commendable!!!

    ReplyDelete