Monday 8 April 2013

Pathar hi hai jo mitti bana,
thokar kha kar hai bikhra
isliye wo rota nahi,
aisa nahi ki dard usko hota nahi.

Janta hai mitti jab wo ban jayega
dharti pe uski wajah se kuch lehrayega
isliye wo rota nahi,
aisa nahi ki dard usko hota nahi.

gira hota hai wo unchayio se
kuch nayi si tanhayio mei
pucha agar hota kabhi,
par aisa bhi toh hota nhi

bejaan hai, bezuban hai
aisi hi uski pehchan hai
fir kyu jab wo matti hai
zindagi usme panapti hai

kyu kabhi wo kisi ke liye bhagwan hai
tab bhi toh wo  bezuban hai
aisa nahi ki dard usko hota nahi.
bas wo kabhi rota nhi

Wednesday 13 February 2013


ishq yu hi nhi badnaam h

Pyaar aasuo ka pegaam h

Bekarari aisi deta h

Apne mei uljha deta h

Na ehsaas h judai ka

Na pyaar ki prchai h

Udaasi yu hi bewajah dil pe chhai h

Bekhudi h ye

Zindagi ab ek ruswai h

Teri bina hr pal

Bas tanhai h, tanhai h