Sunday, 30 September 2012

love and lost, yet together


Ek wqt tha,
aasman zameen ke sang tha
pyar ke rang mei,
range the wo dono

anjane se,
dharti ne ki koi galti
chala gya aasman dur
dikhaya usne apna gurur
koshish ki dharti ne
prvat banke uske paas pahuch jaye
pr fasla narazgi se tha zyada
khafa tha ambar kuch iss tarah
ki dukh usey bhi tha
pr wapas aana ab mumkin na tha
rota tha kabhi kabhi
aur saath mei aakrosh dikhata
bheeg jati thi dharti
aur mayus ho jati
fir jb naseeb ko apna liya
tb jeevan pnpa, hryali ayi
pedo ki unchayi ne fir faasla km krna chaha
pr aasman toh dur hi tha

ab dhrti yu hi khelti h
khush ho kr zindagi deti h
dukh mei khud ko hi khatam kr leti hai
sochti h kabhi toh smjhega aasman
uske pyaar mei wo bnti aur bigadti hai

Wednesday, 26 September 2012

When I look behind


Kuch aisa piche chuut gaya
ya wo bs h ruth gaya
milega mujhe kabhi kya wo dubara?
ya ab h bs aise hi rehna
chahu toh kadam bada bhi lu
chahu toh khud ko behla bhi lu
dhundla dhundla sa kuch yaad h
pr hr lamha uske na hone ka ehsaas h
kya wo jagah abhi bhi h khali
na hone se uske hi h ye udaasi
jaanta hai mann ki wo na ayega ab
aankhen thak gayi intezar kr
kyu hai koi aata
jhuta sa spna dikhata
apna h ban jata
fir na jaane kahan kho jata